Education Loan Kaise Milta Hai

Education Loan Kaise Milta Hai : Education Loan Apply Online – Education Loan Kaise Lete Hain

Share With Your Friends

12th krne k baad hrr student ka ek hi dream hota hai ki vo kisi ache college mein ya foreign mein jakr k apni study complete kare. Lekin talent k hone k baad bhi mehngi hoti jaa rhi padhai ki vajah se kuch students ka ye deam pura nhi ho pata. Agar apka bhi koi aisa hi dream hai to apko dukh hone ki koi bhi jarrorat nhi hai, kyonki aise mein apka sahara ban skta hai education loan. Aaj kal sab gov. or private bank education loan dete hai. Halanki education loan milna itna asan nhi hai lekin agar apke pass proper documents hai or aap mehnat karein to apko education loan mil skta hai. To doston main hu Star or aaj k iss blog mein hum baat krne wale hai ki education loan kya hota hai, kinko diya jata hai, education loan k liye kya kya chaihiye hota hai, education loan prr kitna interest dena hota hai, inn sari cheejo k bare mein hum baat krne wale hai to chaliye shuru krte hai.

Sabse pehle hum baat kr lete hai ki education loan lene k liye kya kya jarrori hota hai, education loan lene k liye apko 4 cheejo ko pura krna important hota hai

  1. Aap india k citizen hone chahiye
  2. Apki age 21- 24 years honi chahiye
  3. Admission india ki kisi bhi certified college ya school mein hona chahiye
  4. Bade loan amount k liye guarantee ki jarrorat padegi

Banks koi bhi loan dene se pehle vassoli ka janch poori krte hai, isliye loan aise logon ko diya jata hai jo uski repayment kr paye. Education loan ki repayment students k guardian bhi kr skte hai or study poori hone k baad student bhi kr skte hai.

Chaliye ab baat kr lete hai ki education loan mein apko kitne amount mil skte hai loan ka, apko India mein hi study krni hai to apko 10 lakh tak ka loan mil skta hai, apko agar foreign mein study krni hai to apko 20-24lakh tak ka loan mil skta hai, aap fee k sath doosre expanses jaise hostel ka rent, paper fee, books ka kharcha, ismei ye sab included honge. Aagar aap 2 lakh tak ka loan lena chahte ho to apko 1 bhi ruppeya kharch krne ki jarrorat nhi hai..pr apko agar isse jyada ka loan chahiye to bank sirf apko 60$ hi denge baki ka 40% apko khud se dena padega.

Chaliye ab hum baat kr lete hai ki education loan lene k liye kon konse documents chahiye honge. Education loan lene se pehle jarori hai ki jo doucments apko dene hai unhe aap ready krke rakh lein. Education loan lene k liye bank se apko ek form lena hota hai or usko bharke uske sath kuch documents lagakar use submit krna hota hai. Education loan lene k liye students ka ID proof, age proof etc. doucment dene hote hai. Jis bank se aap loan lena chahte hai usmein apka account hona jarrori nhi hai, lekin agar uss bank mein apka account hai to loan miilna kafi easy ho jata hai.

Chaliye ab hum baat kr lete hai education loan prr lagne wale interest k bare mein. Education loan prr interest rate normally 10%-12% k bich mein hota hai lekin kuch bank isse jyada bhi charge krte hai. Kuch bank girls k liye kam interest rate rkhte hai. SBI bank education loan prr yearly 10%-12.4% intetest charge krta hai.

To doston aaj ki iss post mein apne jana ki education loan kya hota hai, iske liye kya kya doucments chahiye hota hai, interest kitna lagta hai..ye sab apne jana. Doston agar apko ye post achi lagi ho to isse like karein doston k sath share karein or apke mann mein agar koi bhi doubt ho to humein comment krke puch skte hai. Apna keemti time nikalkr post ko padhne k liye apka dil se thankyou.


Share With Your Friends

Check Also

RupeeMenu Loan App

RupeeMenu Loan App Kaise Liya Jata Hai : RupeeMenu Personal Loan Apply Online – RupeeMenu Loan New Loan App

Share With Your FriendsDoston bohot baar aisa hota hai ki hum life mein kuch krna …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *