Personal Loan

Personal Loan Kaise Le Online : Instant Personal Loan Kya Hai – How To Get A Personal Loan With Bad Credit

Share With Your Friends

Namaskar doston aaj hum iss post ka jariye janenge Personal Loan ke bare mein. Personal loan ki janakri na hone ki vajah se aksar log Personal Loan lene se ghabrate hai jabki personal loan lekar hum apni kafi sari personal problems ko solve kr skte hai. Jaise ki bacho ki school fee deni ho ya kisi ka ilaj karana ho ya phir kisi ko bhi bohot mehnga gift dena ho, ho aise hi kafi sare kaam hum Personal loan lekar kr skte hai. Bank jo loan dete hai vo jyadatar salaried logon ke liye hote hai. Agar apka kisi bank mein salary account hai to apko aur bhi asani se Personal Loan mil jata hai. Aaj hum iss blog post mein janenge ki Personal Loan kya hota hai, personal loan lene ke liye kya kya doucuments lagenge or personal loan kaise liya jata hai to chaliye shuru krte hai.

Personal Loan Kya Hota Hai?

Personal Loan

Sabse pehle hum baat krte hai ki Personal Loan kya hota hai, personal loan bank ki taraf se diya jane wala ek loan hota hai, jo bank apke ache Credit score ke according apko deta hai. Personal loan mein 2 cheejein jaruri hoti hai, pehli apke favour mein hoti hai or dusri apke against hoti hai. Personal loan bohot hi kam doucuments par mil jata hai. Iske liye apko property ka kagjat ya or bade kagjat ki jarurat nhi hoti balki normal se doucuments dekar aap asani se personal loan le skte hai or dusri cheej ye hai ki personal loan ka jo interest rate hota hai vo bohot high hota hai. Agar aap Home Loan lena chahte hai, Gold Loan lena chahte ya isi type ka or koi loan lena chahte hai to usmein jo interest rate kafi kam hota hai lekin Personal Loan ka interest rate kafi jyada hota hai.

Personal Loan Ke Liye Kya Kya Documents Ki Jarurat Padti Hai?

Chaliye ab jaan lete hai Personal Loan ke liye kin kin documents ki jarurat padti hai. Agar dekha jaye to Personal Loan ke bank sirf 2 cheejein confirm karte hai, pehli ye ki apka credit score kaisa hai, credit score agar apka shi hai 640 se lekar 840 tak hai to apko asani se loan mil jata hai lekin agar apka credit score 600 se kam hai to phir apko loan nhi milega. Credit score banta hai apka tab jab apke pass credit card ho to. Agar aap apne credit score ki payements vagera time pe bhar rhe hai to apka credit score acha ho jayega. Dusri cheej bank ye dekhta hai ki aap loan amount time pe pay kr payenge ya nhi. Bank dekhta hai ki aap salried personal hai ya self employed hai.

Personal Loan Ke Liye Kaise Apply Karein?

Chaliye ab hum baat krte hai Personal Loan ke liye apply kaise karenge? Personal Loan 2 tarike se milta hai, ya to bank apko khud hi kehte hai personal loan lene ke liye jaise HDFC Bank AXIs Bank to inki netbanking mein jo apko offers ate hai unmein likha hua show ho jata hai ki aap 2 lakh ka Personal Loan lene ke liye ya 4 lakh ke Personal Loan ke liye approved hai. Iss type ke offers apko milte hai, pehla tarika to ye hai ki bank apko khud offer krta hai. Personal Loan lene ke liye or dusra ye hai ki aap khud bank mein apply kr skte hai. Personal loan ke liye agar bank apko khud offer krta hai to phir to kafi acha rehta hai kyonki bank jab apko offer krta hai to vo pehle hi apka civil score check kr leta hai, civil score acha hota hai tabhi bank apko personal loan ke liye offer krta hai to us time pe apko apna salary ya self employed ka proof dena hota hai or apko asani se Personal loan mil jata hai. Dusra tarika ye hai ki apko bank mein jakar personal loan ke liye apply krna hota hai, iske liye jis bank mein apka account hai apko vahi jana chahiye kyonki jyadatar bank apne cutomer ko personal loan dete hai or agar aap kisi dusre bank mein jakar Peresonal Loan ke liye apply karenge to unka pehla sawal yahi hoga ki jaha par apka account aapne vaha par Personal Loan ke liye kyo nhi apply kiya to aap usi branch mein jayenge jaha par apka apna account hai vaha jakar ke aap personal loan ke liye apply kar skte hai iske liye apko ek forom milega uss form mein apni details fill krni hoti hai or uske liye apko ID proof or Address proof jiske liye apka aadhar card ya pan card dena hotta hai or apni salary slip bhi deni hoti hai or apko phir loan mil jayega.

Personal Loan Lete Time Inn Baton Ka Dhyan Rakhein

  • Personal Loan lene ka faisla apko kafi soch samajh ke krna chahiye kyonki iska interest kafi jyada hota hai.
  • Personal Loan hamesha tab lena chahiye jab apke pass koi or rasta na ho.
  • Personal Loan apko tabhi lena chahiye jab aap uski EMI samay par bhar paye.

Personal Loan – Personal Loan Apply Online

To doston aaj ki iss post mein apne jana ki Personal Loan kya hota hai, Personal Loan lene ke liye kon kon se document dena hote hai or bhi bohot kuch apne jana. Agar apko ye post achi lagi ho to isko apne doston ke sath share karein. Post ko apna keemti time dene ke liye apka dil se thank you.


Share With Your Friends

Check Also

RupeeMenu Loan App

RupeeMenu Loan App Kaise Liya Jata Hai : RupeeMenu Personal Loan Apply Online – RupeeMenu Loan New Loan App

Share With Your FriendsDoston bohot baar aisa hota hai ki hum life mein kuch krna …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *